mar kar bhi hai talash mujhe ku-e-yar ki

mar kar bhi hai talash mujhe ku-e-yar ki
mitti kharab kyon na ho mere ghubar ki

wa'da bhi kar ke aae na ek shab wo mere ghar
chhitki na chandni qamar-e-gul-ezar ki

kuchh tar-e-pairahan se nahin imtiyaz ab
haalat na puchhiye mere jism-e-nazar ki

aana na tha to khat hi koi aap bhejte
taskin kuchh to hoti dil-e-be-qarar ki

nargis hai shakl-e-chashm-e-tamanna ba-ainih
lala bhi hai shabih dil-e-dagh-dar ki

guldasta pesh kijiye lala ke phulon ka
sunni hon galiyan jo kisi gul-ezar ki

kyon is ke pichhe hoti hai hairan ai saba
milne ki gard bhi nahin mere ghubar ki

wo khaksar the na hawa se hui buland
marne ke baad khak hamare mazar ki

wada-khilaf yar se kahta nahin koi
taqat nahin rahi mujhe ab intizar ki

dil ka ab aankhon se ye taqaza hai raat-din
taswir samne rahe har dam nigar ki

ghurbat mein kyon watan ki tamanna na kijiye
kya kya aziyyaten na sahin dasht-e-khar ki

yusuf aziz-e-misr the hasil thi saltanat
is jah par bhi chah thi apne dayar ki

furqat mein zindagani-e-shirin hai zahr-ab
khwahish ho khak mujh ko mai-e-khush-gawar ki

'ajiz' hamari aankhen tarasti hi rah gain
na-didon ko nasib rahi did yar ki


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close