hua sarkash andhera sakht-jaan hai charaghon ko magar kya kya guman hai yaqin to jod deta hai dilon ko koi shai aur apne darmiyan hai abhi se kyun lahu rone lagi aankh pas-e-manzar bhi koi imtihan hai wahi be-faiz raaton ka tasalsul wahi main aur wahi khwab-e-giran hai mere andar hai an-pyasa kinara mere atraf ek dariya rawan hai