naqab-e-rukh utha kar husn jab jalwa-figan hoga na puchho kya qayamat-khez rang-e-anjuman hoga na gul hanste na kaliyan muskuraatin phir bahaaran mein khabar hoti agar un ko khizan-khurda chaman hoga ghariq-e-bahr hona aadmi ke haq mein behtar hai na mamnun-e-zamin hoga na muhtaj-e-kafan hoga jafa dhate rahenge bas yunhi din-raat dar-parda samajh baithe hain wo badnam to charkh-e-kuhan hoga safar mein bhi musafir ke bahalne ko ba-khamoshi kabhi ahbab ka qissa kabhi zikr-e-watan hoga abhi to patte patte par bahaaren tuti padtin hain khuda jaane hamare baad kya rang-e-chaman hoga ajal jab chhin legi aadmi se tab-e-goyai sukut-e-der-pa honton pe phir ja-e-sukhan hoga kise malum tha yun dil ki himmat sath chhodegi fana khud apne teshe se bil-akhir kohkan hoga khuda ke ghar bhi yun to be-talab jata nahin koi bulaoge to han 'rifat' sharik-e-anjuman hoga