ruh sulagti rakkhi hai aur sina jalta rakkha hai us ne mujh ko lakhon insanon se achchha rakkha hai tum raushan kar rakkho jitne hijr alaw mumkin hon main ne bhi apni aankhon ke pichhe dariya rakkha hai aankh kahan hai ek aafat goya rakkhi hai chehre par dil kab hai mere pahlu mein ek tamasha rakkha hai jo mujh mein khul kar hansta aur sawan-bhadon rota tha us bachche ko main ne ab tak khud mein zinda rakkha hai jis din meri dharti apni chadar mujh par dalegi bas us din ki khatir main ne khud ko zinda rakkha hai khak-basar phirti hain jis mein lailaen din-raat 'munir' main ne apni za mein ek aisa bhi sahra rakkha hai