nigahon ko bala ki tishnagi hai

nigahon ko bala ki tishnagi hai
unhen dekhe badi muddat hui hai

khuda-hafiz tera ai rahat-e-dil
tabiat phir kisi par aa gai hai

tamanna yas hasrat be-qarari
hamare pas kis shai ki kami hai

jawani mein khayal-e-tark-e-ulfat
haqiqat mein sarasar khud-kushi hai

mohabbat ko teri kyon kar bhula dun
isi par inhisar-e-zindagi hai

mohabbat hi faqat hai jawedani
yahan hai aur jo kuchh aarzi hai

guzari umr jis ki justuju mein
ghazab hai wo abhi tak ajnabi hai

kisi ke dil mein apna ghar bana lo
bahut hi mukhtasar ye zindagi hai

mere haq mein to qatil se nahin kam
jise duniya masiha kah rahi hai

'bahaar' ab aur kya hai pas apne
yahi le de ke sher-o-shaeri hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close