is auj par na uchhaalo mujhe hawa kar ke ki main jahan se hun utra khuda khuda kar ke azal se mujh se hai wabasta khair-o-shar ka nizam na dekho mujh ko meri zat se juda kar ke main jaanta hun muqaffal hain sare darwaze mujhe ye zid hai ki guzrun magar sada kar ke main apne daur ke is karb ka hun aaina jo pesh-rau hue rukhsat mujhe ata kar ke shikast-e-zabt pe main bhi bahut khajil hun magar khula hai us ka bharam mera samna kar ke ye fakhr kam nahin farigh hai dil gharib to kya ki aabru to nahin khoi iltija kar ke