kuchh is tarah se zamane pe chhana chahta hai wo aaftab pe pahre bithana chahta hai talluqat ke dhage to kab ke tut chuke magar ye dil hai ki phir aana jaana chahta hai jo qatra qatra ikattha hua tha aankhon mein wo khun ab meri palkon pe aana chahta hai chatakh raha hai jo rah rah ke mere sine mein wo mujh mein kaun hai jo tut jaana chahta hai amir-e-shahr teri bandishen maaz-allah faqir ab teri basti se jaana chahta hai ye khwahishat ka panchhi ajib hai har roz nai fazaen naya aab-o-dana chahta hai udasi jhankne lagti hai us ki aankhon se wo shakhs jab bhi kabhi muskurana chahta hai