wo rang ishq mein parwardigar aa jae

wo rang ishq mein parwardigar aa jae
dikha dun aag ko daman bahaar aa jae

ilahi khair ye aalam siyah-bakhti ka
sukun mangiye aur zulf-e-yar aa jae

hayat-o-maut ko tum jaano hum tumhein jaanen
hamare dida-o-dil ko qarar aa jae

jo ponchh lo mere aansu tum apne daman mein
to phul khil ke rahen aur bahaar aa jae

kalim hausla-e-did phir ba-in takrar
kahin na jal ke koi shoala-bar aa jae

tum aao bazm mein rukhsat karo chale jao
lahad mein yun mujhe shayad qarar aa jae

nazar bacha ke meri aao aate hi hans do
bahaar hi nahin lutf-e-bahaar aa jae

idhar se nama-e-amal main chalun le kar
udhar se rahmat-e-parwardigar aa jae

na main raha to banaega baat kya qasid
agar wo kar ke tera eatibar aa jae

chhupaya gor mein munh roz-e-hashr ke dar se
yahan na gardish-e-lail-o-nahaar aa jae

meri bahaar hai pinhan tumhaare daman mein
tum hi na aao to kyunkar bahaar aa jae

fareb-e-husn bhi hai kis qadar hasin 'qadir'
ki is ke bhes mein ek shoala-bar aa jae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close