is qadar sachchai se bezar duniya ho gai zad pe gardan hai miri, talwar duniya ho gai us ke dil mein nim goli, shahd baaton mein rakhe puchhte kya ho miyan! makkar duniya ho gai be-hayai bewafai be-yaqini be-hisi kaise kaise khanjaron ki dhaar duniya ho gai maslahat ne kis qadar tabdil us ko kar diya ghair main hun in dinon gham-khwar duniya ho gai kya samajhte ho yaqin kar legi tum kuchh bhi kaho soch kar dena bayan hoshyar duniya ho gai kya sahafi kya muarrikh kaise aalim kya adib dekhte hi dekhte bazar duniya ho gai haar kar jis ne kiya hai us se samjhauta 'faraaz' han usi ke waste hamwar duniya ho gai