hui tasir aah-o-zari ki rah gai baat be-qarari ki shikwa-e-dushmani karen kis se wan shikayat hai dost-dari ki mubtala-e-shab-e-firaq hue zid se hum tira-rozgari ki yaad aai jo garm-joshi-e-yar dida-e-tar ne shola-bari ki kyun na dar jaun dekh kar wo zulf hai shab-e-hijr ki si tariki yas dekho ki ghair se kah di baat apni umid-wari ki bas ki hai yar ki kamar ka khayal sher ki sujhti hai bariki kar de roz-e-jaza shab-e-dijur zulmat apni siyahkari ki tere abru ki yaad mein hum ne nakhun-e-gham se dil-figari ki qatl-e-dushman ka hai irada use ye saza apni jaan-nisari ki kya musalman hue ki ai 'momin' hasil us but se sharmsari ki