zindagi ne fasl-e-gul ko bhi pasheman kar diya jis bayaban par nazar dali gulistan kar diya tu ne ye kya ai sukut-e-shikwa-saman kar diya dil ki dil hi mein rahi un ko pasheman kar diya shukriya ai mausam-e-gul pas-e-wahshat hai yahi gulsitan ko tu ne ham-diwar-e-zindan kar diya kitne afsane bana kar rakh liye the shauq ne yun naqab ulti haqiqat ne ki hairan kar diya kis qadar mazbut nikle tere diwane ke hath sham-e-gham ko jab nichoda subh-e-taban kar diya phul barsae hain kya kya tegh-e-khun-asham ne tum ne shahar-e-gul-azaran ko gulistan kar diya sina-e-sanat mein bhar kar apne dil ka iztirab aahan-o-faulad ko main ne ghazal-khwan kar diya