jafa pe shukr ka ummid-war kyun aaya meri wafa ka use e'tibar kyun aaya ye dil ki baat hi munh se ada nahin hoti main kya kahun ki yahan bar bar kyun aaya khayal-e-pursish-e-mahshar se wo hua maghmum nazar ke samne mera mazar kyun aaya kahan wo hath main paun hasin ladkon ke sadi nahin to su-e-kohsar kyun aaya tadap thi mar ke bhi mayyat pe shayad aaya wo nahin ye baat to dil ko qarar kyun aaya hua main khak to wo lad raha hai aandhi se ki tere sath mere ghar ghubar kyun aaya wo intizar ki lazzat bhi le gaya ai 'shauq' hawa ke ghode pe zalim sawar kyun aaya