main kya bataun kaisi pareshaniyon mein hun kaghaz ki ek naw hun aur paniyon mein hun chehre ke khadd-o-khal mein mahdud main nahin ek aaina hun apni hi hairaniyon mein hun dushwariyon ko thik se samjha nahin abhi mushkil meri yahi hai ki aasaniyon mein hun maujon se dur rah ke bhi badla nahin nasib sahil ke aas-pas bhi tughyaniyon mein hun mujh tak hi laut aati hai meri sada ki gunj ek bazgasht sa kahin viraniyon mein hun odha hua hai main ne ye kaisa ajab libas itna dhaka hua hun ki uryaniyon mein hun rakht-e-safar mein kijiye mera shumar bhi shamil main apni be-sar-o-samaniyon mein hun