saqi tere baghair hai mahfil se dil uchat so jaise ji udas hai so dil se dil uchat su-e-adam phire chale jate hain qafile sab ham-safar hain zist hai manzil se dil uchat jis roz se ki shauq-e-asiri hua mujhe sayyaad hai shikar-e-anadil se dil uchat thukrae bhi na aa ke lahad fatiha kuja mar kar hua hun us but-e-qatil se dil uchat juz marg kuchh nahin hai tap-e-hijr ka ilaj hum naqsh chat kar hue aamil se dil uchat kanton pe misl-e-qais kahan tak rawan-dawan laila-e-jaan hai jism ki mahmil se dil uchat dozakh mujhe bahisht ke badle qubul hai aisa hun ek hur-shamail se dil uchat jhankar se main chaar-qadam aage jaunga zindan mein hua jo salasil se dil uchat majnun ki chaal laila agar do-qadam chale tabut dil-pasand ho mahmil se dil uchat qatil hamare dil ko tadapta na chhod ja ek dam ke waste na ho bismil se dil uchat ai 'bahr' yar sath nahin jaiye kahan gulshan se ji udas hai mahfil se dil uchat