zahr ke ghunt bhi hans hans ke piye jate hain hum bahar-haal saliqe se jiye jate hain ek din hum bhi bahut yaad kiye jaenge chand afsane zamane ko diye jate hain hum ko duniya se mohabbat bhi bahut hai lekin lakh ilzam bhi duniya ko diye jate hain bazm-e-aghyar sahi az-rah-e-tanqid sahi shukr hai hum bhi kahin yaad kiye jate hain hum kiye jate hain taqlid-e-riwayat-e-junun aur khud chaak-e-gireban bhi siye jate hain gham ne bakhshi hai ye mohtat-mizaji hum ko zakhm bhi khate hain aansu bhi piye jate hain haal ka thik hai 'iqbaal' na farda ka yaqin jaane kya baat hai hum phir bhi jiye jate hain