imkan se pare kar-e-hunar karta chala jaun jo sang mile us ko guhar karta chala jaun be-samt-o-nishan azm-e-safar bandh ke utthun taskhir nai rahguzar karta chala jaun har gam pe tamir karun ek makan main phir sare makanon ko khandar karta chala jaun aa jaun agar maskan-e-auham se bahar har mamlikat-e-khwab ko sar karta chala jaun kar dun shab-e-tarik ko shoalon ke hawale shamon ko ham-aghosh-e-sahar karta chala jaun abwab-e-ufuq mujh pe agar khulte chale jaen ek sans na lun yunhi safar karta chala jaun kharon ki ziyafat ka to saman kiya hai sahra ke lab-e-khushk bhi tar karta chala jaun