hum aahuwan-e-shab ka bharam kholte rahe mizan-e-dilbari pe unhen tolte rahe aks-e-jamal-e-yar bhi kya tha ki der tak aaine qumriyon ki tarah bolte rahe kya kya tha hall-e-masala-e-zindagi mein lutf jaise kisi ka band-e-qaba kholte rahe puchho na kuchh ki hum se ghazalan-e-bazm-e-shab kis shahr-e-dilbari ki zaban bolte rahe kal shab tha zikr-e-hur bhi zikr-e-butan ke sath zohd-o-safa idhar se udhar dolte rahe apna bhi wazn kar na sake log aur hum ruh-e-wara-e-ruh ko bhi tolte rahe sarmaya-e-adab thi hamari ghazal 'zafar' ashaar-e-naghz the ki guhar rolte rahe