shab-e-firaq hamara wo nim-jaan hona ajal ka aap hi ghar mein wo mehman hona khafa na sun ke mera haal mehrban hona ki is bayan ko ek din hai dastan hona dayar-e-husn ki sar-garmiyan maaz-allah har ek qadam pe mohabbat ka imtihan hona koi sitam ho yahin se shurua hota hai ghazab hai kucha-e-jaanan ka aasman hona ajal se pahle saba le udi sar-e-manzil kahan pe aaya hai kaam apna na-tawan hona utha wo dard kaleje mein wo gire aansu nahin hai khel mohabbat ka raaz-dan hona nigah-e-qahr kabhi aur kabhi karam ki nazar inhin adaon ka mil-jul ke dastan hona wo kya kare na mite gar teri mohabbat mein likha ho jis ke muqaddar mein be-nishan hona abhi na shad ho takmil-e-ishq par 'afqar' abhi hai tark-e-mohabbat ka imtihan hona