nahin khayal to phir intizar kis ka hai ye zehn-o-dil ye bila-wajh bar kis ka hai batae kaun ye ahl-e-khirad se mahfil mein chaman hai kis ke liye khar-zar kis ka hai hamara nam to ghairon mein ho gaya shamil jo log apne hain un mein shumar kis ka hai kisi ko daulat-e-duniya kisi ko izzat-e-nafs khuda ki den pe ab ikhtiyar kis ka hai urus-e-maut se jaldi hai kis ko milne ki qadam badha hua ye su-e-dar kis ka hai farishte aa ke 'wasiyya' se bole marqad mein lahad mein aap ko ab intizar kis ka hai