hum aap hi ko apna maqsud jaante hain apne siwae kis ko maujud jaante hain ijz-o-niyaz apna apni taraf hai sara is musht-e-khak ko hum masjud jaante hain surat-pazir hum bin hargiz nahin we mane ahl-e-nazar hamin ko mabud jaante hain ishq un ki aql ko hai jo ma-siwa hamare nachiz jaante hain na-bud jaante hain apni hi sair karne hum jalwa-gar hue the is ramz ko wa-lekin madud jaante hain yarab kase hai naqa har ghuncha is chaman ka rah-e-wafa ko hum to masdud jaante hain ye zulm-e-be-nihayat dushwar-tar ki khuban bad-waziyon ko apni mahmud jaante hain kya jaane dab sohbat az khwesh raftagan ka majlis mein shaikh-sahib kuchh kud jaante hain mar kar bhi hath aawe to 'mir' muft hai wo ji ke ziyan ko bhi hum sud jaante hain