jun hi zanjir ke pas aae panw

jun hi zanjir ke pas aae panw
dekh us ko mere tharrae panw

khat ka laya na udhar se wo jawab
yunhi qasid ke main thakwae panw

bad-gumani na ho aashiq ki ziyaad
us ne shab ghair se dabwae panw

hath se yar ka daman de kar
har taraf phirte hain ghabrae panw

najd ka dekh ke sahra-e-wasia
aate hi qais ne phailae panw

khush-khirami hai sanam! tujh par khatm
kabk o tuti ne ye kab pae panw

tu to sota raha aashiq ne tere
raat bhar aankhon se sahlae panw

mujh musafir ke kisi ne hargiz
garm pani se na dhulwae panw

'mushafi' hum ko tarab se kya kaam
baithe hain gor mein latkae panw


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close