hum aise kab the ki khud badaulat yahan bhi karte qadam nawazish magar ye ek ek qadam par ai jaan faqat inayat karam nawazish kahan ye ghar aur kahan ye daulat jo aap aate udhar ko ai jaan jo aan nikle ho banda-parwar to kije ab koi dam nawazish laga ke thokar hamare sar par bala tumhaari kare tassuf ki hum to samjhe hain is ko dil se tumhaare sar ki qasam nawazish jawab manga jo nama-bar se to us ne kha kar qasam kaha yun zaban qalam ho jo jhut bole ki wan nahin yak qalam nawazish uthawen nazan ke hum na kyunkar 'nazir' dil se ki jin ke howen jafa talattuf itab shafqat ghazab tawajjoh hatam nawazish