ujala chhin raha hai raushni taqsim hoti hai teri aawaz hai ya zindagi taqsim hoti hai kabhi reg-e-rawan se pyas bujh jati hai rahraw ki kabhi dariya ke hathon tishnagi taqsim hoti hai yahi wo mod hai apne parae chhut jate hain qarib-e-ku-e-jaanan gumrahi taqsim hoti hai khushi ke nam par aankhon mein aansu aa hi jate hain ba-qadr-e-gham mohabbat mein khushi taqsim hoti hai yaqin aaya tere shadab paikar ki khanak sun kar badan ke zawiyon mein yun hansi taqsim hoti hai qayamat hai dilon ke darmiyan diwar uthate ho dilon ke dard ki hamsaegi taqsim hoti hai wahin kal waqt ne khai thi thokar yaad hai ab tak wo pech-o-kham jahan teri gali taqsim hoti hai sar-e-pahna-e-naghma 'shaz' kuchh shoala sa uthta hai suna hai daulat-e-paighambari taqsim hoti hai