kisi ka naqsh jo pal bhar raha hai aankhon mein bade khulus se ghar kar raha hai aankhon mein zamin se ta-ba-surayya hai raushni lekin yahan to raat ka manzar raha hai aankhon mein chala gaya hai tasawwur ki sarhadon se pare wo ek shakhs jo aksar raha hai aankhon mein abhi abhi koi shahr-e-tarab se guzra hai kise dikhaun dhuan bhar raha hai aankhon mein teri nazar mein murawwat agar nahin na sahi mera khulus barabar raha hai aankhon mein