koi chehra nigahon mein nahin hai kahun kaise wo aahon mein nahin hai meri qismat mein ye kaisa safar hai koi saya bhi rahon mein nahin hai agar kirdar ab tak hai salamat kashish kyon khanqahon mein nahin hai gharibon ko sar aankhon pe bithaen ye jazba aali-jahon mein nahin hai 'asar' tum baat jis ki kar rahe ho tumhaare khair-khwahon mein nahin hai