na aasman se shikayat na baghban se mujhe mere junun ne nikala hai gulsitan se mujhe gham-e-habib ye ehsan tera na bhulunga ki be-niyaz kiya tu ne do jahan se mujhe fareb-e-wahm-o-guman hai tilism-e-ilm-o-yaqin ye dars-e-khas mila sai-e-raegan se mujhe bade maze se guzarti jo dil pe bas hota najat milti nahin is bala-e-jaan se mujhe ye dair hai na haram us ki bazm hai 'rahi' azal se ek talluq raha hai yan se mujhe