tauba kije ab fareb-e-dosti khaenge kya

tauba kije ab fareb-e-dosti khaenge kya
aaj tak pachhta rahe hain aur pachhtaenge kya

khud samajhiye zabh hone wale samjhaenge kya
baat pahunchegi kahan tak aap kahlaenge kya

bazm-e-kasrat mein ye kyun hota hai un ka intizar
parda-e-wahdat se wo bahar nikal aaenge kya

kal bahaar aaegi ye sun kar qafas badlo na tum
raat bhar mein qaidiyon ke par nikal aaenge kya

ai dil-e-muztar inhin baaton se chhuta tha chaman
ab tere nale qafas se bhi nikalwaenge kya

ai qafas walo rihai ki tamanna hai fuzul
fasl-e-gul aane se pahle par na kat jaenge kya

sham-e-gham jal jal ke misl-e-shama ho jaunga khatm
subh ko ahbab aaenge to dafnaenge kya

jaanta hun phunk dega mere ghar ko baghban
aashiyan ke pas wale phul rah jaenge kya

un ki mahfil mein chala aaya hai dushman khair ho
misl-e-adam hum bhi jannat se nikal jaenge kya

nakhuda maujon mein kashti hai to ho hum ko na dekh
jin ko tufanon ne pala hai wo ghabraenge kya

tu ne tufan dekhte hi kyun nigahen pher lin
nakhuda ye ahl-e-kashti dub hi jaenge kya

kyun ye bairun-e-chaman jalte hue tinke gae
mere ghar ki aag duniya bhar mein phailaenge kya

koi to munis rahega ai 'qamar' sham-e-firaq
shama gul hogi to ye tare bhi chhup jaenge kya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close