hum apne aap ko ek masala bana na sake isi liye to kisi ki nazar mein aa na sake hum aansuon ki tarah waste nibha na sake rahe jin aankhon mein un mein hi ghar bana na sake phir aandhiyon ne sikhaya wahan safar ka hunar jahan charagh hamein rasta dikha na sake jo pesh pesh the basti bachane walon mein lagi jab aag to apna bhi ghar bacha na sake mere khuda kisi aisi jagah use rakhna jahan koi mere bare mein kuchh bata na sake tamam umr ki koshish ka bas yahi hasil kisi ko apne mutabiq koi bana na sake tasalliyon pe bahut din jiya nahin jata kuchh aisa ho ke tera eatibar aa na sake