zinda bhi khalq mein hun mara bhi hua hun main hun mukhtalif bhi is mein phansa bhi hua hun main jo ahl-e-shahr ko kisi surat nahin hai ras aisi yahan pe aab-o-hawa bhi hua hun main aazurda kyun hain ab mere shewan pe ahl-e-bagh kuchh din yahan pe naghma-sara bhi hua hun main in barishon ki mujh ko tamanna bhi thi bahut diwar se zara sa mita bhi hua hun main rahta hun dur us ke dil-e-narm se magar patthar ki tarah is mein juda bhi hua hun main zinda hun phir bhi ek umid-e-bahaar par patta hun aur shajar se jhada bhi hua hun main rahta nahin hun bojh kisi par ziyaada der kuchh qarz tha agar to ada bhi hua hun main rakhne lage hain kuchh nazar-andaz bhi ye log manzar se apne aap hata bhi hua hun main ek dur ke safar pe rawana bhi hun 'zafar' sust-ul-wajud ghar mein pada bhi hua hun main