hum ne nazdik bhulane ka bhi fan rakkha tha hijr mein dil ko bhi kuchh mast-magan rakkha tha ye bhi sach hai ki tujhe dil se gharaz thi hi nahin warna to jism mein paiwast hi man rakkha tha kab baghawat pe utar aae yahan kaun sa phul bas yahi soch ke qabu mein chaman rakkha tha jaanta kaise tujhe jhankta andar kaise tujh ko tawiz ke jaise to pahan rakkha tha jab nakirain ne chaha ki mujhe le jaen ruh ghaeb thi kahin aur badan rakkha tha jis ko ab pyar se jine ka sabab kahte hain hum ne us yaad ka ek nam ghutan rakkha tha hum kai qism ke lahjon ke bahut qail hain han magar apna jo andaz-e-sukhan rakkha hai