hum apne dil ki dhadkan mein ek tamanna lae hain tujh se pyar ki baaten karne dur kahin se aae hain apni aankhen rahguzar hain apna chehra patthar hai tere wadon ne bhi mujh ko kya kya khwab dikhae hain tere aanchal ki chhanw se shahr-e-junun ki dhup talak khushbu ban kar bikhre hum ghuncha ban kar murjhae hain koi ujala tha jo hamare jism-o-jaan se guzra hai kis khurshed ne andhe ghar mein apne aks udae hain taza dhup mein jhil kinare jab se tujh ko dekha hai 'jazib' ne ujle ujle rangon ke khwab bichhae hain