jab sitaron ki rida kandhe se sarkati hai raat chand ke sine se lag kar nur ban jati hai raat khud tadap kar kis qadar mujh ko bhi tadpati hai raat ashk-e-shabnam jab meri haalat pe barsati hai raat khun-e-dil de kar ufuq rangin kar jati hai raat raushni hone se pahle qatl ho jati hai raat subh-e-nau se kis liye is darja ghabraati hai raat dekh kar khurshid ko jaane kidhar jati hai raat tirgi-e-hijr ko had se badha jati hai raat aap ke aane se pahle kyun chali aati hai raat main nazar ban jaun to taswir ban jati hai raat un ki yaadon ke diye ki lau badha jati hai raat din guzar jata hai 'afshan' mahfil-e-ahbab mein qasr-e-tanhai mein chupke se chali aati hai raat