jab tak fasil-e-jism ka dar khul na jaega is dil ki yurishon ka tasalsul na jaega khemon se ta-furaat jo dariya-e-khun hai ye us par se maslahat ka koi pul na jaega us ko guman nahin tha ki ahd-e-khizan mein bhi ye zauq-e-naghma-rezi-e-bulbul na jaega ye abr-e-agahi jo barasta raha yunhi mitti ka ye wajud mera ghul na jaega girta rahega yunhi balaon ka aabshaar jab tak ghubar-e-qalb-o-nazar dhul na jaega wo shakhs to khudai ke dawe pe tul gaya is had pe hum samajhte the bilkul na jaega bas ai nigar-e-zist yaqin aa gaya hamein ye teri be-rukhi ye tammul na jaega 'anjum' nigar-e-zist ko phir chahiye wahi ek sar jo khwahishon ke ewaz tul na jaega