hum apni haqiqat kis se kahen hain pyase ki sairab hain hum hum sahra hain aur jal-thal hain hain dariya aur payab hain hum ab gham koi na sarshaari bas chalne ki hai tayyari ab dhup hai phaili aangan mein aur kachchi nind ke khwab hain hum han sham-e-tamanna bujh bhi gai ab dil tera tarik bahut ab hiddat-e-gham na josh-e-junun ai dasht-e-talab barfab hain hum ye tanhai ye khamoshi tara bhi nahin is sham koi kuchh dagh samete sine mein tanha tanha mahtab hain hum hum jis mein dub ke ubhre hain wo dariya kaisa dariya tha ye kaisa ufuq hai jis ki athah gahrai mein gharqab hain hum hum misl-e-sharar hain jugnu hain hum tira-shab ke aansu hain hum najm-e-sahar hum rashk-e-qamar han har surat shab-tab hain hum ek huzn-o-malal ka sail-e-bala sab khwab baha kar le bhi gaya phir phul khile man-angan mein phir dekh hamein shadab hain hum lakhon hum jaise milte hain nayab nahin hain hum 'ahmad' han un ke liye jo dil se mile wo jaante hain kamyab hain hum