hum aql pe ulfat mein bharosa nahin karte jab karte hain kuchh kaam to socha nahin karte khud jagte hain rakhte hain taron ko bhi bedar be-kar shab-e-hijr guzara nahin karte wo jin ko yaqin husn-e-darakhshan pe hai apne kyun dil ke andhere mein ujala nahin karte hum dekhte hain roz mah-o-mehr ka jalwa kis roz tere rukh ka tamasha nahin karte wo jin ki nigahon mein hai namus-e-mohabbat be-parda bhi ho koi to dekha nahin karte gham kya mutahammil jo nahin meri nazar ke wo mere tasawwur se to parda nahin karte hain nam se 'makhmur' ke mashhur-e-zamana go hum kabhi shaghl-e-mai-o-mina nahin karte