jise main samajhta hun qatil yahi hai mohabbat isi se hai mushkil yahi hai adawat hui barq se baghban se nasheman banane ka hasil yahi hai tadapna barabar tadapte hi rahna tere dar pe andaz-e-bismil yahi hai bahut dur manzil magar har qadam par thakan ka taqaza ki manzil yahi hai mere qatl ka zikr hai aur wo chup hai khamoshi na kah de ki qatil yahi hai mujhe to hansi apne gham par na aati magar kya karun rang-e-mahfil yahi hai wahan se 'iram' hum hata lae kashti yahan ye samajhna tha sahil yahi hai