jo bhi aaya hai yahan ho ke hi sarshaar utha sab ka aangan hai na tu bich mein diwar utha masala aur ulajhta hai ghalat-fahmi se pahle tu baat to kar baad mein talwar utha dil bhi raushan ho teri aankhon mein nur aa jae jazba sadiq hai to ek aisa hi minar utha surkh-ru aur bhi hoti gai maqtal ki zamin sar hamara bhi kuchh is tarah sar-e-dar utha tez-tar ho gae jab gardish-e-dauran ke qadam hath mein jam liye jhum ke mai-khwar utha zulm jab had se badha hath mein kirpan liye apne 'nashtar' ki tarah kaun ye sardar utha