na khali zehn yun duniya ka rah jae ki sara kaam naqsh-e-pa ka rah jae zaminon par na yun qabza karen shahar koi to rasta sahra ka rah jae mere bare mein lahren kuchh bhi sochen main kahta hun bharam dariya ka rah jae jo rah-e-jaan mein zahir naqsh-e-jaan ho safar aadha safar-paima ka rah jae numud-e-zakhm kam aur ye tamanna qafas ho kar qafas-ara ka rah jae alag hi us ka naghma hai shajar par qayam us tair-e-tanha ka rah jae