hum bhi shair the kabhi jaan-e-sukhan yaad nahin tujh ko bhule hain to dil-dari-e-fan yaad nahin dil se kal mahw-e-takallum the to malum hua koi kakul koi lab koi dahan yaad nahin aql ke shahr mein aaya hai to yun gum hai junun lab-e-goya ko bhi be-sakhta-pan yaad nahin awwal awwal to na the waqif-e-adab-e-qafas aur ab rasm-o-rah-e-ahl-e-chaman yaad nahin har koi nawak o tarkash ki dukan puchhta hai kisi gahak ko magar apna badan yaad nahin waqt kis dasht-e-faramoshi mein le aaya hai ab tera nam bhi khakam-ba-dahan yaad nahin ye bhi kya kam hai gharib-ul-watani mein ki 'faraaz' hum ko be-mehri-e-arbab-e-watan yaad nahin