use tab dekhte shadab tha jab wo sahra har taraf khush-khwab tha jab khade khush-fealiyan karte the bagule nadi mein ghutne ghutne aab tha jab umidi sipiyan irfan si thin samundar fikr ka payab tha jab chamakti khushbuen thin machhliyon ki jazira khwab ka dashtab tha jab qadam khud se badhate the na raste barasta chaar su kohrab tha jab sabhi chehre ujala sochte the hamari aankhon pe naqshab tha jab thin ham-tabir 'rahmani' ki bahen badan ham-khwab ka kamkhab tha jab