hum bhi the gosha-gir ki gumnam the bahut is tarz-e-zist mein magar aaram the bahut duniya hai kar-khana-e-wahm-o-guman tamam sachche wahi fasane the jo aam the bahut khud apne iztirar-e-tabiat se tang the hum jo shikar-e-gardish-e-ayyam the bahut lipti rahi to sar-basar asrar thi wo zulf khulti kabhi to us ke bhi paigham the bahut ek umr tajrabaat mein guzri to ye khula yan aazmuda-kar hi nakaam the bahut