sada-e-qais shauq-e-dasht-paimai nami-danam na jaane kaun si kal khinch ke lai nami-danam faqiron ko mere shahana khilat se nawaza hai aqidat hai ya rang-e-zat-arai nami-danam khade hain raste mein hath bandhe ped saf-basta hawa kyun chandni ke dosh par aai nami-danam wajud-e-khak se lipte rahe pahlu ke angare badan ki aag jaane kaise bujh pai nami-danam darun-e-soz-e-rindana darun-e-ah-e-mastana ba-gosh-e-yar tak kaisi sada aai nami-danam