nigah-e-yar se hota hai wo khumar mujhe ki rut khizan ki bhi lagne lage bahaar mujhe fasil-e-ishq pe rakkha hua charagh hun main hawa-e-hijr ka rahta hai intizar mujhe judaiyan hain muqaddar to phir gale kaise likhe hue pe tujhe hai na ikhtiyar mujhe faqat zaban se na kah mujh ko zindagi apni main zindagi hun tu achchhi tarah guzar mujhe main aaina tha kabhi ab to sirf shisha hun ye log dekhte rahte hain mere par mujhe