hum bhi zinda hain ajab kawish-e-izhaar ke sath guftugu karte hain ghar ke dar-o-diwar ke sath hum ne aise bhi faqihan-e-haram dekhe hain bech dete hain fazilat bhi jo dastar ke sath hairati hun wo musalman ko musalman karne sar-e-bazar nikal aate hain do-chaar ke sath kya zarurat hai unhen manzar-o-pas-manzar ki jo kahani hi badal dete hain kirdar ke sath aise khurshid ki bhi hum ne pazirai ki jo dam-e-subh nikalta hai shab-e-tar ke sath chiz dukkan se utha kar wahin rakh deta hun roz ye hota hai mujh aise kharidar ke sath 'mohsin'-ehsan mashaqqat ki bhi had hoti hai tum to mar jaoge bar-e-gham-e-dil-dar ke sath