mausam-e-rang bhi hai fasl-e-khizan bhi tari dekhna khun ke dhabbe hain ki hai gul-kari us se har tarah se tazlil-e-bashar hoti hai bais-e-fakhr nahin muflisi-o-na-dari inqilabi ho to hai faqr bhi tauqir-e-hayat warna hai aajizi-o-be-kasi-o-ayyari shoala-e-gul ki badha deti hai lau-e-baad-e-bahaar tah-e-shabnam bhi dahak uthti hai ek chingari lamha lamha hai ki hai qafila-e-manzil-e-nur sarhad-e-shab mein bhi farman-e-sahar hai jari tegh-o-khanjar ko ata karte hain lafzon ki niyam zulm ki karte hain jab ahl-e-sitam tayyari harf-e-'sardar' mein poshida hain asrar-e-hayat sher-e-'sardar' mein hai sarkashi-o-sar-shaari sher-e-'sardar' mein hai shoala-e-be-bak ka rang harf-e-'sardar' mein haq-goi-o-khush-guftari