wafa-parast jahan-e-wafa ko le dube ajib baat hai bande khuda ko le dube ye kali kali ghata jo barasne wali hai maza to jab hai kisi parsa ko le dube safine ye to nahin hain jo hain kinaron par safine wo the jo mauj-e-bala ko le dube tamam ahl-e-nazara ki laj rakh legi wo ek nazar jo kisi ki ada ko le dube ye kaise kaise riya-kar hain zamane mein saza ke nam se chaunke jaza ko le dube baja hai shan-e-karimi ye sab ghurur magar yahi ghurur to ahl-e-khata ko le dube hamesha yaad hamin tak rahe hamare gham wo dost kya jo kisi ham-nawa ko le dube