karishma-saz-e-azal kya tilism bandha hai parida rang hai har naqsh phir bhi pyara hai tu ru-ba-ru ho to ai ru-e-yar tujh se kahen wo harf-e-gham ki harif-e-gham-e-zamana hai kabhi to hum pe uthe chashm-e-ashna ki tarah wo ek nigah ki sad-gardish-e-zamana hai hamari aankhon se nairangi-e-jahan dekho hamari aankhon mein ek umr-e-sad-tamasha hai hawa-e-shauq wo din kis khizan ke sath gae tamam umr hui intizar-e-farda hai