kaun jaane hai ye di kis ne dua jine ki main ne har sans mein pai hai saza jine ki dil ke tukde jo liye phirta hun qarya qarya ba-khuda kaisi hui mujh se khata jine ki ek to is shahr ka har shakhs hua hai dushman us pe bhaari hai ye mujh par bhi qaza jine ki zindagi waise bhi ruthi si chali jati thi ab to mohlat bhi nahin jaan-e-wafa jine ki saqiya dil mera lagta nahin mai-khanon mein mujh ko tadbir koi aur bata jine ki wo hain betab naya zakhm lagane ke liye ek ghadi aur mujhe de de khuda jine ki ai dil-e-khasta tujhe le ke kahan jaen hum zahr-e-gham ko bhi wo kahte hain dawa jine ki dil se utre hue bekar hain hum bhi 'barham' ras aati nahin hum ko bhi faza jine ki