hum ek khwab liye mah o sal se guzre hazaron ranj hazaron malal se guzre hamein mila jo koi aasman to surat-e-mah na jaane kitne uruj o zawal se guzre kabhi gharibon ki aahon mein ki basar hum ne kabhi amiron ke jah-o-jalal se guzre wo be-sahaara se kuchh log jaan se bezar khabar mili hai ki auj-e-kamal se guzre ye zindagi bhi ajab rah thi ki hum jis se qadam badhate jhijakte nidhaal se guzre haqiqaten to nigahon ke samne thin magar hum ek umr fareb-e-khayal se guzre hikayat-e-gul-o-bulbul pe khanda-zan hain wahi jo sham-e-hijr na subh-e-visal se guzre gale lagati hai manzil unhen bhi ai 'jazbi' qadam qadam pe jo khauf-e-maal se guzre