rutba-e-dard ko jab apna hunar pahunchega ham-nashin zabt-e-sukhan ka bhi asar pahunchega be-sadaraat se aajiz hai mera dast-e-junun koi din ta-ba-gareban-e-sahar pahunchega khinch ke rah mujh se magar zabt ki talqin na kar ab meri aah se tujh ko na zarar pahunchega baaton baaton mein sab ahwal-e-judai mat puchh kuchh kahunga to tere dil pe asar pahunchega ranj uthate hain mere zabt-e-fughan se ham-sae le ke tum tak koi marne ki khabar pahunchega mere marne se gham-e-ishq na mar jaega mujh ko chhodega to gham-khwar ke ghar pahunchega apne gesu to sambhaalo ki khule jate hain warna ilzam mere shauq ke sar pahunchega tum ko jina hai to kuchh aib bhi lazim hain 'shahab' zindagi ko to na faizan-e-hunar pahunchega